jashn bapā hai kuTiyāoñ meñ ūñche aivāñ kaañp rahe haiñ
mazdūroñ ke bigḌe tevar dekh ke sultāñ kaañp rahe haiñ
jaage haiñ iflās ke maare uThe haiñ be-bas dukhiyāre
sīnoñ meñ tūfāñ kā talātum āñkhoñ meñ bijlī ke sharāre
chauk chauk par galī galī meñ surḳh pharere lahrāte haiñ
mazlūmoñ ke bāġhī lashkar sail-sifat umDe aate haiñ
shāhī darbāroñ ke dar se faujī pahre ḳhatm hue haiñ
zaatī jāgīroñ ke haq aur mohmal da.ave ḳhatm hue haiñ
shor machā hai bāzāroñ meñ TuuT ga.e dar zindānoñ ke
vāpas maañg rahī hai duniyā ġhasab-shuda haq insānoñ ke
rusvā-bāzārī ḳhātūneñ haqq-e-nisānī maañg rahī haiñ
sadiyoñ kī ḳhāmosh zabāneñ sahr-e-navā.ī maañg rahī haiñ
roñdī kuchlī āvāzoñ ke shor se dhartī guuñj uThī hai
duniyā ke inā-e-nagar meñ haq kī pahlī guuñj uThī hai
jam.a hue haiñ chaurāhoñ par aa ke bhūke aur gadāgar
ek lapaktī āñdhī ban kar ek bhabaktā sho.ala ho kar
kāñdhoñ par sañgīn kudāleñ hoñToñ par bebāk tarāne
dahqānoñ ke dil nikle haiñ apnī bigḌī aap banāne
aaj purānī tadbīroñ se aag ke sho.ale tham na sakeñge
ubhre jazbe dab na sakeñge ukhḌe parcham jam na sakeñge
rāj-mahal ke darbānoñ se ye sarkash tūfāñ na rukegā
chand kirā.e ke tinkoñ se sail-e-be-pāyāñ na rukegā
kaañp rahe haiñ zālim sultāñ TuuT ga.e dil jabbāroñ ke
bhaag rahe haiñ zill-e-ilāhī muñh utre haiñ ġhaddāroñ ke
ek nayā sūraj chamkā hai ek anokhī zau-bārī hai
ḳhatm huī afrād kī shāhī ab jamhūr kī sālārī hai