Sahir Ludhianvi

lahu nazr de rahi hai hayat

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
mire jahāñ meñ saman-zār DhūñDne vaale
yahāñ bahār nahīñ ātishīñ bagūle haiñ
dhanak ke rañg nahīñ surma.ī fazāoñ meñ
ufuq se tā-ba-ufuq phāñsiyoñ ke jhūle haiñ
phir ek manzil-e-ḳhūñbār kī taraf haiñ ravāñ
vo rahnumā jo ka.ī baar raah bhūle haiñ
buland da.ava-e-jamhūriyat ke parde meñ
faroġh-e-majlis-o-zindāñ haiñ tāziyāne haiñ
ba-nām-e-amn haiñ jañg-o-jadal ke mansūbe
ba-shor-e-adl tafāvut ke kār-ḳhāne haiñ
diloñ pe ḳhauf ke pahre laboñ pe qufl sukūt
suroñ pe garm salāḳhoñ ke shāmiyāne haiñ
magar haTe haiñ kahīñ jabr aur tashaddud miTe
vo falsafe ki jilā de ga.e dimāġhoñ ko
koī sipāh-e-sitam pesha chuur kar na sakī
bashar kī jaagī huī ruuh ke ayāġhoñ ko
qadam qadam pe lahū nazar de rahī hai hayāt
sipāhiyoñ se ulajhte hue charāġhoñ ko
ravāñ hai qāfila-e-irtiqā-e-insānī
nizām-e-ātish-o-āhan kā dil hilā.e hue
baġhāvatoñ ke duhal baj rahe haiñ chaar taraf
nikal rahe haiñ javāñ mish.aleñ jalā.e hue
tamām arz-e-jahāñ kholtā samundar hai
tamām koh-o-bayābāñ haiñ tilmilā.e hue
mirī sadā ko dabānā to ḳhair mumkin hai
magar hayāt kī lalkār kaun rokegā
fasīl-e-ātish-o-āhan bahut buland sahī
badalte vaqt kī raftār kaun rokegā
panāh letā hai jin majlisoñ meñ tiira nizām
vahīñ se sub.h ke lashkar nikalne vaale haiñ
ubhar rahe haiñ fazāoñ meñ ahmarīñ parcham
kināre mashriq-o-maġhrib ke milne vaale haiñ
hazār barq gire laakh āñdhiyāñ uTheñ
vo phuul khil ke raheñge jo khilne vaale haiñ
Top Urdushayar.com