Sahir Ludhianvi

taj-mahal

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
taaj tere liye ik maz.har-e-ulfat hī sahī
tujh ko is vādi-e-rañgīñ se aqīdat hī sahī
merī mahbūb kahīñ aur milā kar mujh se
bazm-e-shāhī meñ ġharīboñ kā guzar kyā ma.anī
sabt jis raah meñ hoñ satvat-e-shāhī ke nishāñ
us pe ulfat bharī rūhoñ kā safar kyā ma.anī
merī mahbūb pas-e-parda-e-tash.hīr-e-vafā
tū ne satvat ke nishānoñ ko to dekhā hotā
murda-shāhoñ ke maqābir se bahalne vaalī
apne tārīk makānoñ ko to dekhā hotā
an-ginat logoñ ne duniyā meñ mohabbat kī hai
kaun kahtā hai ki sādiq na the jazbe un ke
lekin un ke liye tash.hīr kā sāmān nahīñ
kyūñki vo log bhī apnī hī tarah muflis the
ye imārāt o maqābir ye fasīleñ ye hisār
mutlaq-ul-hukm shahanshāhoñ kī azmat ke sutūñ
sīna-e-dahr ke nāsūr haiñ kohna nāsūr
jazb hai un meñ tire aur mire ajdād kā ḳhuuñ
merī mahbūb unheñ bhī to mohabbat hogī
jin kī sannā.ī ne baḳhshī hai use shakl-e-jamīl
un ke pyāroñ ke maqābir rahe benām-o-numūd
aaj tak un pe jalā.ī na kisī ne qindīl
ye chaman-zār ye jamunā kā kināra ye mahal
ye munaqqash dar o dīvār ye mehrāb ye taaq
ik shahanshāh ne daulat kā sahārā le kar
ham ġharīboñ kī mohabbat kā uḌāyā hai mazāq
merī mahbūb kahīñ aur milā kar mujh se
Top Urdushayar.com