aanā hai to aa raah meñ kuchh pher nahīñ hai
bhagvān ke ghar der hai andher nahīñ hai
jab tujh se na suljheñ tire uljhe hue dhande
bhagvān ke insāf pe sab chhoḌ de bande
ḳhud hī tirī mushkil ko vo āsān karegā
jo tū nahīñ kar paayā vo bhagvān karegā
kahne kī zarūrat nahīñ aanā hī bahut hai
is dar pe tirā siis jhukānā hī bahut hai
jo kuchh hai tire dil meñ sabhī us ko ḳhabar hai
bande tire har haal pe mālik kī nazar hai
bin māñge hī miltī haiñ yahāñ man kī murādeñ
dil saaf ho jin kā vo yahāñ aa ke sadā deñ
miltā hai jahāñ nayāy vo darbār yahī hai
sansār kī sab se baḌī sarkār yahī hai