musavvir maiñ tirā shahkār vāpas karne aayā huuñ
ab un rañgīn ruḳhsāroñ meñ thoḌī zardiyāñ bhar de
Hijāb-ālūd nazroñ meñ zarā bebākiyāñ bhar de
laboñ kī bhīgī bhīgī silvaToñ ko muzmahil kar de
numāyāñ rañg-e-peshānī pe aks-e-soz-e-dil kar de
tabassum-āfrīñ chehre meñ kuchh sanjīda-pan bhar de
javāñ siine kī maḳhrūtī uThāneñ sar-nigūñ kar de
ghane bāloñ ko kam kar de magar raḳhshandagī de de
nazar se tamkanat le kar mazāq-e-ājizī de de
magar haañ bench ke badle use sofe pe biThlā de
yahāñ mere bajā.e ik chamaktī car dikhlā de