Sahir Ludhianvi

main nahin to kya

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
mire liye ye takalluf ye dukh ye hasrat kyuuñ
mirī nigāh-e-talab āḳhirī nigāh na thī
hayāt zār-e-jahāñ kī tavīl rāhoñ meñ
hazār dīda-e-hairāñ fusūñ bikhereñge
hazār chashm-e-tamannā banegī dast-e-savāl
nikal ke ḳhalvat-e-ġham se nazar uThāo to
vahī shafaq hai vahī zau hai maiñ nahīñ to kyā
mire baġhair bhī tum kāmyāb-e-ishrat thiiñ
mire baġhair bhī ābād the nashāt-kade
mire baġhair bhī tum ne diye jalā.e haiñ
mire baġhair bhī dekhā hai zulmatoñ kā nuzūl
mire na hone se ummīd kā ziyāñ kyuuñ ho
tumhārī sej tumhāre badan ke phūloñ par
isī bahār kā partav hai maiñ nahīñ to kyā
mire liye ye udāsī ye sog kyuuñ āḳhir
malīh chehre pe gard-e-fasurdagī kaisī
bahār-e-ġhāza se aariz ko tāzgī baḳhsho
aliil āñkhoñ meñ kājal lagāo rañg bharo
siyāh joḌe meñ kaliyoñ kī kahkashāñ gūñdho
hazār hāñpte siine hazār kāñpte lab
tumhārī chashm tavajjoh ke muntazir haiñ abhī
jilau meñ naġhma-o-rañg-o-bahār-o-nūr liye
Top Urdushayar.com