Sahir Ludhianvi

maine chand aur sitaron ki tamanna ki thi

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
maiñ ne chāñd aur sitāroñ kī tamannā kī thī
mujh ko rātoñ kī siyāhī ke sivā kuchh na milā
maiñ vo naġhma huuñ jise pyaar kī mahfil na milī
vo musāfir huuñ jise koī bhī manzil na milī
zaḳhm paa.e haiñ bahāroñ kī tamannā kī thī
maiñ ne chāñd aur sitāroñ kī tamannā kī thī
kisī gesū kisī āñchal kā sahārā bhī nahīñ
rāste meñ koī dhuñdlā sā sitāra bhī nahīñ
merī nazroñ ne nazāroñ kī tamannā kī thī
maiñ ne chāñd aur sitāroñ kī tamannā kī thī
dil meñ nākām umīdoñ ke basere paa.e
raushnī lene ko niklā to añdhere paa.e
rañg aur nuur ke dhāroñ kī tamannā kī thī
maiñ ne chāñd aur sitāroñ kī tamannā kī thī
merī rāhoñ se judā ho ga.iiñ rāheñ un kī
aaj badlī nazar aatī haiñ nigāheñ un kī
jin se is dil ne sahāroñ kī tamannā kī thī
maiñ ne chāñd aur sitāroñ kī tamannā kī thī
pyaar māñgā to sisakte hue armān mile
chain chāhā to umaDte hue tūfān mile
Dūbte dil ne kināroñ kī tamannā kī thī
maiñ ne chāñd aur sitāroñ kī tamannā kī thī
Top Urdushayar.com