ikkīs baras guzre āzādi-e-kāmil ko
tab jā ke kahīñ ham ko 'ġhālib' kā ḳhayāl aayā
sau saal se jo turbat chādar ko tarastī thī
ab us pe aqīdat ke phūloñ kī numā.ish hai
jin shahroñ meñ gūñjī thī ġhālib kī navā barsoñ
un shahroñ meñ ab urdu benām-o-nishāñ Thahrī
jis ahd-e-siyāsat ne ye zinda zabāñ kuchlī
us ahd-e-siyāsat ko marhūm kā ġham kyuuñ hai
ye jashn ye hañgāme dilchasp khilaune haiñ
kuchh logoñ kī koshish hai kuchh log bahal jaa.eñ
ye jashn mubārak ho par ye bhī sadāqat hai
ham log haqīqat ke ehsās se aarī haiñ