Sahir Ludhianvi

KHana-abaadi

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
tarāne guuñj uThe haiñ fazā meñ shādyānoñ ke
huā hai itr-āgīñ zarra zarra muskurātā hai
magar duur ek afsurda makāñ meñ sard bistar par
koī dil hai ki har aahaT pe yuuñ hī chauñk jaatā hai
mirī āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e nādīda āñkhoñ ke
mire dil meñ koī ġhamgīn naġhma sarsarātā hai
ye rasm-e-inqitā.a ahd-e-ulfat ye hayāt-e-nau
mohabbat ro rahī hai aur tamaddun muskurātā hai
ye shādī ḳhāna-ābādī ho mere mohtaram bhaa.ī
mubārak kah nahīñ saktā mirā dil kaañp jaatā hai
Top Urdushayar.com