Sahir Ludhianvi

koi dil ki chahat se majbur hai

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
koī dil kī chāhat se majbūr hai
jo bhī hai vo zarūrat se majbūr hai
koī maane na maane magar jān-e-man
kuchh tumheñ chāhiye kuchh hameñ chāhiye
chhup ke takte ho kyuuñ sāmne aao jī
ham tumhāre haiñ ham se na sharmāo jī
ye na samjho ki ham ko ḳhabar kuchh nahīñ
sab udhar hī udhar hai idhar kuchh nahīñ
tum bhī bechain ho ham bhī betāb haiñ
jab se āñkheñ milīñ donoñ be-ḳhvāb haiñ
ishq aur mushk chhupte nahīñ haiñ kabhī
is haqīqat se vāqif haiñ ham tum sabhī
apne dil kī lagī ko chhupāte ho kyuuñ
ye mohabbat kī ghaḌiyāñ gañvāte ho kyuuñ
pyaas bujhtī nahīñ hai nazāre binā
umr kaTtī nahīñ hai sahāre binā
koī maane na maane magar jān-e-man
kuchh tumheñ chāhiye kuchh hameñ chāhiye
Top Urdushayar.com