Sahir Ludhianvi

madam

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
aap be-vaj.h pareshān sī kyuuñ haiñ mādām
log kahte haiñ to phir Thiik hī kahte hoñge
mere ahbāb ne tahzīb na sīkhī hogī
mere māhaul meñ insān na rahte hoñge
nūr-e-sarmāya se hai rū-e-tamaddun kī jilā
ham jahāñ haiñ vahāñ tahzīb nahīñ pal saktī
muflisī hiss-e-latāfat ko miTā detī hai
bhuuk ādāb ke sāñchoñ meñ nahīñ Dhal saktī
log kahte haiñ to logoñ pe ta.ajjub kaisā
sach to kahte haiñ ki nādāroñ kī izzat kaisī
log kahte haiñ magar aap abhī tak chup haiñ
aap bhī kahiye ġharīboñ meñ sharāfat kaisī
nek mādām bahut jald vo daur aa.egā
jab hameñ ziist ke advār parakhne hoñge
apnī zillat kī qasam aap kī azmat kī qasam
ham ko tāzīm ke me.aar parakhne hoñge
ham ne har daur meñ tazlīl sahī hai lekin
ham ne har daur ke chehre ko ziyā baḳhshī hai
ham ne har daur meñ mehnat ke sitam jhele haiñ
ham ne har daur ke hāthoñ ko hinā baḳhshī hai
lekin in talḳh mabāhis se bhalā kyā hāsil
log kahte haiñ to phir Thiik hī kahte hoñge
mere ahbāb ne tahzīb na sīkhī hogī
maiñ jahāñ huuñ vahāñ insān na rahte hoñge
vaj.h-e-be-rañgī-e-gulzār kahūñ yā na kahūñ
kaun hai kitnā gunahgār kahūñ yā na kahūñ
Top Urdushayar.com