Sahir Ludhianvi

tu hindu banega na musalman banega

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
tū hindū banegā na musalmān banegā
insān kī aulād hai insān banegā
achchhā hai abhī tak terā kuchh naam nahīñ hai
tujh ko kisī maz.hab se koī kaam nahīñ hai
jis ilm ne insānoñ ko taqsīm kiyā hai
is ilm kā tujh par koī ilzām nahīñ hai
tū badle hue vaqt kī pahchān banegā
insān kī aulād hai insān banegā
mālik ne har insān ko insān banāyā
ham ne ise hindū yā musalmān banāyā
qudrat ne to baḳhshī thī hameñ ek hī dhartī
ham ne kahīñ bhārat kahīñ īrān banāyā
jo toḌ de har band vo tūfān banegā
insān kī aulād hai insān banegā
nafrat jo sikhā.e vo dharam terā nahīñ hai
insāñ ko jo rauñde vo qadam terā nahīñ hai
qur.ān na ho jis meñ vo mandir nahīñ terā
giitā na ho jis meñ vo haram terā nahīñ hai
tū amn kā aur sulh kā armān banegā
insān kī aulād hai insān banegā
Top Urdushayar.com