Sahir Ludhianvi

madam

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980

aap be-vaj.h pareshān kyuuñ haiñ mādām

log kahte haiñ to phir Thiik kahte hoñge

mere ahbāb ne tahzīb na sīkhī hogī

mere māhaul meñ insān na rahte hoñge

nūr-e-sarmāya se hai rū-e-tamaddun jilā

ham jahāñ haiñ vahāñ tahzīb nahīñ pal saktī

muflisī hiss-e-latāfat ko miTā detī hai

bhuuk ādāb ke sāñchoñ meñ nahīñ Dhal saktī

log kahte haiñ to logoñ pe ta.ajjub kaisā

sach to kahte haiñ ki nādāroñ izzat kaisī

log kahte haiñ magar aap abhī tak chup haiñ

aap bhī kahiye ġharīboñ meñ sharāfat kaisī

nek mādām bahut jald vo daur aa.egā

jab hameñ ziist ke advār parakhne hoñge

apnī zillat qasam aap azmat qasam

ham ko tāzīm ke me.aar parakhne hoñge

ham ne har daur meñ tazlīl sahī hai lekin

ham ne har daur ke chehre ko ziyā baḳhshī hai

ham ne har daur meñ mehnat ke sitam jhele haiñ

ham ne har daur ke hāthoñ ko hinā baḳhshī hai

lekin in talḳh mabāhis se bhalā kyā hāsil

log kahte haiñ to phir Thiik kahte hoñge

mere ahbāb ne tahzīb na sīkhī hogī

maiñ jahāñ huuñ vahāñ insān na rahte hoñge

vaj.h-e-be-rañgī-e-gulzār kahūñ na kahūñ

kaun hai kitnā gunahgār kahūñ na kahūñ

Top Urdushayar.com