Sahir Ludhianvi

apne andar zara jhank mere watan

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
apne andar zarā jhāñk mere vatan
apne aiboñ ko mat Dhāñk mere vatan
terā itihās hai ḳhuuñ meñ luthḌā huā
tū abhī tak hai duniyā meñ bichhḌā huā
tū ne apnoñ ko apnā na maanā kabhī
tū ne insāñ ko insāñ na jaanā kabhī
tere dharmoñ ne zātoñ kī taqsīm kī
tirī rasmoñ ne nafrat kī ta.alīm dī
vahshatoñ kā chalan tujh meñ jaarī rahā
qatl-o-ḳhūñ kā junūñ tujh pe taarī rahā
apne andar zarā jhāñk mere vatan
tū darāviḌ hai yā āriya nasl hai
jo bhī hai ab isī ḳhaak kī fasl hai
rañg aur nasl ke dā.ere se nikal
gir chukā hai bahut der ab to sambhal
tere dil se jo nafrat na miT pā.egī
tere ghar meñ ġhulāmī palaT aa.egī
terī barbādiyoñ kā tujhe vāsta
DhūñD apne liye ab nayā rāsta
apne andar zarā jhāñk mere vatan
Top Urdushayar.com