Sahir Ludhianvi

KHud-kushi se pahle

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980

uf ye bedard siyāhī ye havā ke jhoñke

kis ko ma.alūm hai is shab sahar ho ki na ho

abhī raushan haiñ tire garm shabistāñ ke diye

nīl-gūñ pardoñ se chhantī haiñ shuā.eñ ab tak

sard hotī huī battī ke dhueñ ke hamrāh

haath phailā.e baḌhe aate haiñ ojhal saa.e

aah ye ġhār-e-halākat ye diye mahbas

umar apnī inhī tārīk makānoñ meñ kaTī

kitnī āsā.isheñ hañstī rahīñ aivānoñ meñ

kitne dar merī javānī pe sadā band rahe

zulm sahte hue insānoñ ke is maqtal meñ

koī fardā ke tasavvur se kahāñ tak bahle

vahī zulmat hai fazāoñ pe abhī tak taarī

jaane kab ḳhatm ho insāñ ke lahū taqtīr

abhī raushan haiñ tire garm shabistāñ ke diye

aaj maiñ maut ke ġhāroñ meñ utar jā.ūñgā

Top Urdushayar.com