lab pe pābandī to hai ehsās par pahrā to hai
phir bhī ahl-e-dil ko ahvāl-e-bashar kahnā to hai
ḳhūn-e-a.adā se na ho ḳhūn-e-shahīdāñ hī se ho
kuchh na kuchh is daur meñ rañg-e-chaman nikhrā to hai
apnī ġhairat bech Dālīñ apnā maslak chhoḌ deñ
rahnumāoñ meñ bhī kuchh logoñ kā ye manshā to hai
hai jinheñ sab se ziyāda dāvā-e-hubbulvatan
aaj un kī vaj.h se hubb-e-vatan rusvā to hai
bujh rahe haiñ ek ik kar ke aqīdoñ ke diye
is añdhere kā bhī lekin sāmnā karnā to hai
jhuuT kyuuñ bolīñ faroġh-e-maslahat ke naam par
zindagī pyārī sahī lekin hameñ marnā to hai