Sahir Ludhianvi

jawahar-lal nehru

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
jism miT jaane se insān nahīñ mar jaate
dhaḌkaneñ rukne se armān nahīñ mar jaate
saañs tham jaane se elaan nahīñ mar jaate
hoñT jam jaane se farmān nahīñ mar jaate
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
vo jo har diin se munkir thā har ik dharm se duur
phir bhī har diin har ik dharm kā ġham-ḳhvār rahā
saarī qaumoñ ke gunāhoñ kā kaḌā bojh liye
umr-bhar sūrat-e-īsā jo sar-e-dār rahā
jis ne insānoñ kī taqsīm ke sadme jhele
phir bhī insāñ kī uḳhuvvat kā parastār rahā
jis kī nazroñ meñ thā ik ālamī tahzīb kā ḳhvāb
jis kā har saañs na.e ahd kā me.amār rahā
jis ne zardār-e-ma.īshat ko gavārā na kiyā
jis ko ā.īn-e-musāvāt pe isrār rahā
us ke farmānoñ kī elānoñ kī tāzīm karo
raakh taqsīm kī armān bhī taqsīm karo
maut aur ziist ke sañgam pe pareshāñ kyuuñ ho
us kā baḳhshā huā sah-rañg-e-alam le ke chalo
jo tumheñ jāda-e-manzil kā pata detā hai
apnī peshānī par vo naqsh-e-qadam le ke chalo
dāman-e-vaqt pe ab ḳhuun ke chhīñTe na paḌeñ
ek markaz kī taraf dair-o-haram le ke chalo
ham miTā Dāleñge sarmāya-o-mehnat kā tazād
ye aqīda ye irāda ye qasam le ke chalo
vo jo hamrāz rahā hāzir-o-mustaqbil kā
us ke ḳhvāboñ kī ḳhushī ruuh kā ġham le ke chalo
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
jism miT jaane se insān nahīñ mar jaate
dhaḌkaneñ rukne se armān nahīñ mar jaate
saañs tham jaane se elaan nahīñ mar jaate
hoñT jam jaane se farmān nahīñ mar jaate
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
Top Urdushayar.com