Sahir Ludhianvi

nur-jahan ke mazar par

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
pahlu-e-shāh meñ ye duḳhtar-e-jamhūr kī qabr
kitne gum-gashta fasānoñ kā pata detī hai
kaise maġhrūr shahanshāhoñ kī taskīñ ke liye
sāl-hā-sāl hasīnāoñ ke bāzār lage
kaise har shāḳh se muñh-band mahaktī kaliyāñ
noch lī jaatī thiiñ taz.īn-e-haram kī ḳhātir
kaise ik fard ke hoñToñ kī zarā sī jumbish
sard kar saktī thī be-laus vafāoñ ke charāġh
sahmī sahmī sī fazāoñ meñ ye vīrāñ marqad
itnā ḳhāmosh hai fariyād-kunāñ ho jaise
tū mirī jaan mujhe hairat o hasrat se na dekh
ham meñ koī bhī jahāñ-nūr o jahāñ-gīr nahīñ
Top Urdushayar.com