maiñ ne jo giit tire pyaar kī ḳhātir likkhe
aaj un gītoñ ko bāzār meñ le aayā huuñ
aaj dukkān pe nīlām uThegā un kā
tū ne jin gītoñ pe rakhī thī mohabbat kī asaas
aaj chāñdī ke tarāzū meñ tulegī har chiiz
mere afkār mirī shā.irī merā ehsās
jo tirī zaat se mansūb the un gītoñ ko
muflisī jins banāne pe utar aa.ī hai
bhuuk tere ruḳh-e-rañgīñ ke fasānoñ ke evaz
chand ashiyā-e-zarūrat kī tamannā.ī hai
dekh is arsa-e-gah-e-mehnat-o-sarmāya meñ
mere naġhme bhī mire paas nahīñ rah sakte
tere jalve kisī zardār kī mīrās sahī
tere ḳhāke bhī mire paas nahīñ rah sakte
aaj un gītoñ ko bāzār meñ le aayā huuñ
maiñ ne jo giit tire pyaar kī ḳhātir likkhe