tīra-o-tār fazāoñ meñ sitam-ḳhurda bashar
aur kuchh der ujāle ke liye tarsegā
aur kuchh der uThegā dil-e-gītī se dhuāñ
aur kuchh der fazāoñ se lahū barsegā
aur phir ahmarīñ hoñToñ ke tabassum kī tarah
raat ke chaak se phūTegī shuāoñ kī lakīr
aur jamhūr ke bedār ta.āvun ke tufail
ḳhatm ho jā.egī insāñ ke lahū kī taqtīr
aur kuchh der bhaTak le mire darmāñda nadīm
aur kuchh din abhī zahrāb ke sāġhar pī le
nūr-afshāñ chalī aatī hai urūs-e-fardā
haal tārīk-o-sam-afshāñ sahī lekin jī le