ufuq-e-rūs se phūTī hai na.ī sub.h kī zau
shab kā tārīk jigar chaak huā jaatā hai
tīrgī jitnā sambhalne ke liye ruktī hai
surḳh sail aur bhī bebāk huā jaatā hai
sāmrāj apne vasīloñ pe bharosa na kare
kohna zanjīroñ kī jhankāreñ nahīñ rah saktīñ
jazba-e-nusrat-e-jamhūr kī baḌhtī rau meñ
mulk aur qaum kī dīvāreñ nahīñ rah saktīñ
sañg-o-āhan kī chaTTāneñ haiñ avāmī jazbe
maut ke reñgte sāyoñ se kaho haT jaa.eñ
karvaTeñ le ke machalne ko hai sail-e-anvār
tīra-o-tār ghaTāoñ se kaho chhaT jaa.eñ
sāl-hā-sāl ke bechain sharāroñ kā ḳharosh
ik na.ī ziist kā dar baaz kiyā chāhtā hai
azm-e-āzādī-e-insāñ ba-hazārāñ jabrūt
ik na.e daur kā āġhāz kiyā chāhtā hai
bartar aqvām ke maġhrūr ḳhudāoñ se kaho
āḳhirī baar zarā apnā tarāna dohrā.eñ
aur phir apnī siyāsat pe pashemāñ ho kar
apne nākām irādoñ kā kafan le aa.eñ
surḳh tūfān kī maujoñ ke jakaḌne ke liye
koī zanjīr-e-girāñ kaam nahīñ aa saktī
raqs kartī huī kirnoñ ke talātum kī qasam
arsa-e-dahr pe ab shaam nahīñ chhā saktī