Sahir Ludhianvi

shikast-e-zindan

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
ḳhabar nahīñ ki balā-ḳhāna-e-salāsil meñ
tirī hayāt-e-sitam-āshnā pe kyā guzrī
ḳhabar nahīñ ki nigār-e-sahar kī hasrat meñ
tamām raat charāġh-e-vafā pe kyā guzrī
magar vo dekh fazā meñ ġhubār sā uTThā
vo tere surḳh javānoñ ke rāhvār aa.e
nazar uThā ki vo tere vatan ke mehnat-kash
gale se kohna ġhulāmī kā tauq utaar aa.e
ufuq pe sub.h-e-bahārāñ kī aamad aamad hai
fazā meñ surḳh phareroñ ke phuul khilte haiñ
zamīn ḳhanda-ba-lab hai shafīq maañ kī tarah
ki us kī god meñ bichhḌe rafīq milte haiñ
shikast-e-majlish-o-zindāñ kā vaqt aa pahuñchā
vo tere ḳhvāb haqīqat meñ Dhaal aa.e haiñ
nazar uThā ki tire des kī fazāoñ par
na.ī bahār na.ī jannatoñ ke saa.e meñ
darīda-tan hai vo qahbā-e-sīm-o-zar jis ko
bahut sambhāl ke laa.e the shātirān-e-kuhan
rabāb chheḌ ġhazal-ḳhvāñ ho raqs-farmā ho
ki jashn-e-nusrat-e-mehnat hai jashn-e-nusrat-e-fan
maiñ tujh se duur sahī lekin ai rafīq mire
tirī vafā ko mirī jehd-e-mustaqil kā salām
tire vatan ko tirī arz-e-bā-hamīyyat ko
dhaḌakte khaulte hindostāñ ke dil kā salām
Top Urdushayar.com