har-chand mirī quvvat-e-guftār hai mahbūs
ḳhāmosh magar tab.a ḳhud-ārā nahīñ hotī
māmūra-e-ehsās meñ hai hashr sā barpā
insān kī tazlīl gavārā nahīñ hotī
nālāñ huuñ maiñ bedārī-e-ehsās ke hāthoñ
duniyā mire afkār kī duniyā nahīñ hotī
begāna-sifat jāda-e-manzil se guzar jā
har chiiz sazā-vār-e-nazāra nahīñ hotī
fitrat kī mashiyyat bhī baḌī chiiz hai lekin
fitrat kabhī bebas kā sahārā nahīñ hotī