Sahir Ludhianvi

teri aawaz

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
raat sunsān thī bojhal thiiñ fazā kī sāñseñ
ruuh par chhā.e the be-nām ġhamoñ ke saa.e
der tak ā.ankhoñ meñ chubhtī rahī tāroñ kī chamak
der tak zehn sulagtā rahā tanhā.ī meñ
yuuñ achānak tirī āvāz kahīñ se aa.ī
jaise parbat kā jigar chiir ke jharnā phūTe
shahad sā ghul gayā talḳhāba-e-tanhā.ī meñ
rañg sā phail gayā dil ke siyah-ḳhāne meñ
tū bahut duur kisī anjuman-e-nāz meñ thī
phir bhī mahsūs kiyā maiñ ne ki tū aa.ī hai
raat kī sat.h par ubhre tire chehre ke nuqūsh
vahī chup-chāp sī āñhkeñ vahī saada sī nazar
tū mire paas na thī phir bhī sahar hone tak
terā har saañs mire jism ko chhū kar guzrā
ab yahī hai tujhe manzūr to ai jān-e-qarār
maiñ tirī raah na dekhūñgā siyah rātoñ meñ
ab tirā pyaar satā.egā to merī hastī
tirī mastī bharī āvāz meñ Dhal jā.egī
tere naġhmāt tire husn kī ThanDak le kar
mere tapte hue māhaul meñ aa jā.eñge
Top Urdushayar.com