Sahir Ludhianvi

nazr-e-collage

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
ai sar-zamīn-e-pāk ke yārān-e-nek-nām
bā-sad ḳhulūs shā.ir-e-āvāra kā hai naam
ai vādī-e-jamīl mire dil kī dhaḌkaneñ
ādāb kah rahī haiñ tirī bārgāh meñ
tū aaj bhī hai mere liye jannat-e-ḳhayāl
haiñ tujh meñ dafn merī javānī ke chaar saal
kumlā.e haiñ yahāñ pe mirī zindagī ke phuul
in rāstoñ meñ dafn haiñ merī ḳhushī ke phuul
terī navāzishoñ ko bhulāyā na jā.egā
maazī kā naqsh dil se miTāyā na jā.egā
terī nashāt-ḳhez fazā-e-javāñ kī ḳhair
gul-hā-e-rañg-o-bū ke hasīñ kārvāñ kī ḳhair
daur-e-ḳhizāñ meñ bhī tirī kaliyāñ khilī raheñ
tā-hashr ye hasīn fazā.eñ basī raheñ
ham ek ḳhaar the jo chaman se nikal ga.e
nañg-e-vatan the hadd-e-vatan se nikal ga.e
gaa.e haiñ is fazā meñ vafāoñ ke raag bhī
naġhmāt-e-ātishīñ se bikherī hai aag bhī
sarkash bane haiñ giit baġhāvat ke gaa.e haiñ
barsoñ na.e nizām ke naqshe banā.e haiñ
naġhma nashāt-e-rūh kā gaayā hai bārhā
gītoñ meñ āñsuoñ ko chhupāyā hai bārhā
ma.asūmiyoñ ke jurm meñ badnām bhī hue
tere tufail morid-e-ilzām bhī hue
lekin ham in fazāoñ ke paale hue to haiñ
giryāñ nahīñ to yaañ se nikāle hue to haiñ
Top Urdushayar.com