Sahir Ludhianvi

chakle

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
ye kūche ye nīlām ghar dilkashī ke
ye luTte hue kārvāñ zindagī ke
kahāñ haiñ kahāñ haiñ muhāfiz ḳhudī ke
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
ye pur-pech galiyāñ ye be-ḳhvāb bāzār
ye gumnām raahī ye sikkoñ kī jhankār
ye ismat ke saude ye saudoñ pe takrār
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
ta.affun se pur nīm-raushan ye galiyāñ
ye maslī huī adh khilī zard kaliyāñ
ye biktī huī khokhlī rañg-raliyāñ
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
vo ujle darīchoñ meñ pāyal kī chhan chhan
tanaffus kī uljhan pe table kī dhan dhan
ye be-rūh kamroñ meñ khāñsī kī Than Than
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
ye gūñje hue qahqahe rāstoñ par
ye chāroñ taraf bhiiḌ sī khiḌkiyoñ par
ye āvāze khiñchte hue āñchaloñ par
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
ye phūloñ ke gajre ye paīkoñ ke chhīñTe
ye bebāk nazreñ ye gustāḳh fiqre
ye Dhalke badan aur ye madqūq chehre
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
ye bhūkī nigāheñ hasīnoñ kī jānib
ye baḌhte hue haath sīnoñ kī jānib
lapakte hue paañv zīnoñ kī jānib
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
yahāñ piir bhī aa chuke haiñ javāñ bhī
tanau-mand beTe bhī abbā miyāñ bhī
ye biivī bhī hai aur bahan bhī hai maañ bhī
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
madad chāhtī hai ye havvā kī beTī
yashodhā kī ham-jins rādhā kī beTī
payambar kī ummat zuleḳhā kī beTī
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
bulāo ḳhudāyān-e-dīñ ko bulāo
ye kūche ye galiyāñ ye manzar dikhāo
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq ko laao
sanā-ḳhvān-e-taqdīs-e-mashriq kahāñ haiñ
Top Urdushayar.com