lab pe aatī hai duā ban ke ye chāhat merī
zindagī qaab ke chamchoñ kī ho sūrat merī
kaalī daulat se mire ghar meñ ujālā kar de
aur ġharīboñ kī ġharībī ko do-bālā kar de
chaTpaTī baat mirī garm masāla ho jaa.e
ḳhvāh jantā kā mire dam se divālā ho jaa.e
zindagī ho mirī netāoñ kī sūrat yā-rab
ho faqat apnī ġharaz se hī mohabbat yā-rab
rahūñ āzād na ho qaid-e-maqāmī mālik
dil badalnā ho mirā shaġhl-e-davāmī mālik
chāplūsī ke hunar meñ mujhe yaktā kar de
jo bhī ho mere muqābil use paspā kar de
itnī tāsīr ḳhushāmad meñ atā kar maulā
ki hamesha rahe qabze meñ minister maulā
chaḌhte sūraj kā ho qismat meñ pujārī banñā
mujh ko manzūr nahīñ phir se bhikārī banñā
roġhan-e-qāz kī mālish kā salīqa aa jaa.e
daam meñ fāñste rahne kā tarīqa aa jaa.e
mire fitnoñ se har ik ghar ko ukhāḌā kar de
ġhair to ġhair haiñ apnoñ kā kabāḌā kar de
lekin allāh piTā.ī se bachānā mujh ko
juutā chappal na paḌe dahr meñ khānā mujh ko