ek sachchā vāqi.a hai jaam.ī
aap samjheñ to hai ik tamsīl bhī
haiñ hamāre gaañv meñ ik maulvī
jo bichāre haiñ bahut nādār bhī
ek bakrā un kī pūñjī hai vahī
diid ke qābil hai jis kī farbahī
ek ġhunDe ko jo sūjhī duur kī
apne ik sāthī se bolā ki bha.ī
ho rahī hai jism meñ akḌan baḌī
is liye ho jaa.e kushtī bas abhī
shart hai āsān bilkul muft kī
haar jaa.e ham meñ se jo bhī abhī
vo Tapā kar laa.e bakrā jald hī
gosht us kā mil ke khā.īñ ham sabhī
ab koī jiite ki haare jaam.ī
jaan bakre kī yaqīnan jā.egī