Asrar jaamayee

ghazal-paimai

Asrar jaamayee

Bihar, India

shā.erī kā garm saare mulk meñ bāzār hai
jis ko dekho vo qalam kāġhaz liye tayār hai
tez bekārī kī jitnī aaj kal raftār hai
bas usī darja fuzūñ ġhazloñ kī paidā-vār hai
har galī kūche meñ hai sherī nashishtoñ kī dukāñ
zehan ko bīmār rakhne kā ye kārobār hai
mubtadī ustād tak band o ataa.ī jo bhī hai
sher-sāzī ke junūñ meñ mast hai sarshār hai
ek pyālī chaa.e rakh kar dostoñ ke darmiyāñ
be-tukī bahseñ haiñ ghanToñ be-sabab takrār hai
jo bhī shā.er hai use dekho to haftoñ qabl se
bas radīf o qāfiya se bar-sar-e-paikār hai
qāfiye jitne luġhat meñ mil sake sab chun liye
in ko misroñ meñ khapāyā aur ġhazal tayār hai
maulvī haalī huuñ yā mister kalīmuddīn huuñ
un kī nazroñ meñ ġhazal be-rabta-e-afkār hai
phir bhī an-paḌh log hoñ yā hoñ adab ke doctor
jaane kyuuñ us shoḳh chanchal se sabhī ko pyaar hai
daur-e-nau kā ho suḳhan-var yā purānī nasl kā
jis ko dekho mahfiloñ meñ bas us kā yaar hai
ik adā-e-ḳhās se akḌe hue baiTheñge sab
jo bhī shā.er hai ba-zom-e-ḳhud baḌā fankār hai
sher sunñe se ziyāda ḳhud sunāne ke liye
nafḳh kī hālat meñ haiñ betābi-e-iz.hār hai
baañs par chaḌhnā utarnā jis tarah kā kaam hai
ye ġhazal-paimā.ī bhī vaisā hī shaġhl 'asrār' hai
Top Urdushayar.com