dillī na.ī purānī dekhī
ḳhair-o-shar hairānī dekhī
kursī kī sultānī dekhī
dhotī par shervānī dekhī
bin raaja ke raaj ko dekhā
bhārat ke sartāj ko dekhā
mantarī mahrāj ko dekhā
ulTe-sīdhe kaaj ko dekhā
kursī hai ab taḳht ke badle
narmī hai ab saḳht ke badle
sālim hai ab laḳht ke badle
baḳht nahīñ kam-baḳht ke badle
ek se ek nazāre dekhe
jharne aur favvāre dekhe
din meñ chamke taare dekhe
caroñ meñ nā-kāre dekhe
lok-sabhā ke andar dekhā
jock-sabhā kā manzar dekhā
ek se ek machhandar dekhā
aadmī jaisā bandar dekhā
ḳhuun fasād aur dañgā dekhā
billā dekhā rañgā dekhā
dhun vaalā bhik-mañgā dekhā
kapḌe pahne nañgā dekhā
shar-panDit kaThmulla dekhā
rām-bhagat abdullāh dekhā
sūkhī ghaas kā pullā dekhā
be-ras kā ras-gullā dekhā
bōt-club par dharnā dekhā
kuchh nahīñ kar ke karnā dekhā
kahnā aur mukarnā dekhā
himmat kar ke Darnā dekhā
colony aur bastī dekhī
ūñchā.ī aur pastī dekhī
daulat kī sarmastī dekhī
izzat sab se sastī dekhī
koThe dekhe ziine dekhe
luchche aur kamīne dekhe
sab ne sab ke siine dekhe
dil ke dard kisī ne dekhe?
shahnā.ī aur band bhī dekhā
DañDvat aur shake-hand bhī dekhā
dillī meñ england bhī dekhā
servant kam husband bhī dekhā
urdu kā iqbāl bhī dekhā
aur us ko pāmāl bhī dekhā
urdu-ghar kā haal bhī dekhā
'ġhālib' ke ghar Taal bhī dekhā
urdu ke aivān ga.e ham
le kar kuchh armān ga.e ham
dekhte hī qurbān ga.e ham
business karnā jaan ga.e ham
netā ānī-jānī dekhe
jāhil aur giyānī dekhe
sindhī aur multānī dekhe
kyā kyā hindostānī dekhe
m.p bikne vaale dekhe
p-m Dhīle-Dhāle dekhe
aafat ke parkāle dekhe
jiijā bante saale dekhe
nar ke sar par naarī dekhī
be-sar kī sardārī dekhī
ayyārī makkārī dekhī
kāñToñ kī phulvārī dekhī
naak ragaḌne vaale dekhe
baañs pe chaḌhne vaale dekhe
gore jaise kaale dekhe
bhole jaise bhāle dekhe
raaj ke raaj dulāre dekhe
peT kī maar ke maare dekhe
ya.anī kuchh bechāre dekhe
donoñ haath pasāre dekhe
kūcha aur bāzār ko dekhā
nādir-shāh nādār ko dekhā
hañste har makkār ko dekhā
rote ik fankār ko dekhā
ghar un kā bāzār hai un kā
hotel un kā baar hai un kā
T.v se parchār hai un kā
jo kuchh hai 'asrār' hai un kā