Asrar jaamayee

taqaddus-e-maab

Asrar jaamayee

Bihar, India

'asrār' mubtalā hue ik din azaab meñ
ya.anī giraft-e-zāhid-e-izzat-ma.āb meñ
taqvā o zohd faqr tasavvuf muḳhizāt
kahtā thā dāstān magar ek baab meñ
ḳhauf-e-ḳhudā kuchh aisā biThāyā ki al-amāñ
din meñ zarā sukūn na rāhat thī ḳhvāb meñ
vo iḳhtilāj-e-qalb huā thā ki ek din
hāzir huā hakīm-e-matab kī janāb meñ
do-chār baar nabzeñ TaTolīñ to daf.atan
bole ki kuchh fasād hai shāyad luaab meñ
lāzim hai is maraz meñ ifāqa ke vāste
sandal ko ghis ke pīji.e fauran gulāb meñ
jab ye sunā to haath ke tote hī uḌ ga.e
sochā ki ab to maut kī aayā huuñ daab meñ
sab kā chukā ke qarz karūñ fikr-e-āqibat
jo umr hai guzārūñ husūl-e-savāb meñ
aate hī is ḳhayāl ke ghar-bār bech kar
saaqī ke paas pahle gayā iztirāb meñ
saaqī se jab talab kiyā khātā udhār kā
zāhid kā bhī hisāb thā mere hisāb meñ
Top Urdushayar.com