Asrar jaamayee

shaitan ka farman

Asrar jaamayee

Bihar, India

uTTho mire mahbūb murīdoñ ko jagā do
fankār ko iblīs kā paiġhām sunā do
jis mulk meñ yāroñ ko mayassar na ho wine
us mulk kā har ḳhosha-e-añgūr jalā do
garmāo adīboñ kā lahū whiskey o rum se
shā.er koī mil jaa.e to Tharrā hī pilā do
leader jo nazar aa.e to bolo ye adab se
taqrīr meñ tum garmi-e-whiskey se jilā do
paper ke editor se agar kaam ho lenā
chup-chāp se office meñ beer us ko pilā do
har bazm meñ añgūr kī beTī ko bulāo
mullā se añdhere meñ gale us ko lagā do
shā.er koī mahfil meñ agar pī ke na aa.e
vo paḌh na sake apnī ġhazal shor machā do
arbāb-e-tadabbur jo haiñ aulād hamārī
in ko mirā har falsafa-e-zīst sikhā do
ehsās-e-hamiyyat na rahe dil meñ kisī ke
petrol chhiḌak kar his-e-ġhairat ko jalā do
us shā.er-e-gustāḳh ko 'asrār'-e-suḳhan ko
is nazm kī taḳhlīq pe phāñsī kī sazā do
Top Urdushayar.com