Asrar jaamayee

bijli hui fel

Asrar jaamayee

Bihar, India

lo vaqt huā raat kā aur aah nadārad
bijlī abhī aa.ī thī abhī vaah nadārad
ġhā.eb huī bijlī to huī fikr kī lo tez
logoñ ne usī vaqt kyā tanz ko mahmez
hamdam ne kahā aaj andhere meñ hī khaao
kuchh kīḌe-makoḌoñ ko bhī sālan meñ milāo
jab mom kī battī na hī Dhabrī nazar aa.ī
ik puurī kitāb ik na.ī copy hī jalā.ī
ham-sūrat-e-ma.ashūq-e-tarah-dār hai bijlī
'asrār' ke ghar meñ bhī pur-asrār hai bijlī
ham-sūrat-e-ma.ashūq-e-tarah-dār hai bijlī
'asrār' ke ghar meñ bhī pur-asrār hai bijlī
bijlī ke chale jaane se Takrā ga.e kuchh log
cup chaa.e kā shervānī pe chhalkā ga.e kuchh log
ab paas ke hotel meñ bhī jaanā nahīñ mumkin
ahbāb se gap jā ke laḌānā nahīñ mumkin
Top Urdushayar.com