tum yaad mujhe aa jaate ho
jab sehn-e-chaman meñ kaliyāñ khil kar phuul kī sūrat hotī haiñ
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab barkhā kī rut aatī hai jab kaalī ghaTā.eñ uThtī haiñ
jis vaqt ki rindoñ ke dil se hū-haq kī sadā.eñ uThtī haiñ
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab meñh kī phuvāreñ paḌtī haiñ jab ThanDī havā.eñ aatī haiñ
jab sehn-e-chaman se ghabrā kar pī pī kī sadā.eñ aatī haiñ
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab chaudhvīñ shab kā chāñd nikal kar dahr munavvar kartā hai
jab koī mohabbat kā maarā kuchh ThanDī sāñseñ bhartā hai
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab raat kī zulmat ghaTtī hai jab sub.h kā nuur ubhartā hai
jab koyal kuukū kartī hai jab panchhī pī pī kartā hai
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab koī kisī kā haath pakaḌ kar sair ko bāhar jaatā hai
jab koī nigāh-e-shauq ke aage rah rah kar ghabrātā hai
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab chaar nigāheñ kar ke koī mahv-e-tabassum hotā hai
jab koī mohabbat kā maarā us kaif meñ paḌ kar khotā hai
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
aflāk pe jab ye lākhoñ taare jagmag jagmag kartī haiñ
jab taare gin gin kar dil vaale ThanDī sāñseñ bharte haiñ
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab raat kā baḌhtā hai sannāTā chain se duniyā sotī hai
tab aañkh mirī khul jaatī hai aur dil kī rag rag rotī hai
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho
jab rotā hai bahzād-e-'hazīñ' vo shā.ir vo dīvāna sā
vo dil vaalā vo saudā.ī vo duniyā se begāna sā
tum yaad mujhe aa jaate ho
tum yaad mujhe aa jaate ho