sab bārisheñ ho ke tham chukī thiiñ
rūhoñ meñ dhanak utar rahī thī
ahvāl hī aur ho rahe the
lazzat meñ visāl ro rahe the
chhoTā sā hasīn sā vo kamra
ik ālam-e-ḳhvāb ho rahā thā
vo chhāñv sā chāñdnī sā bistar
ham rañg nahā rahe the jis par
sairāb mohabbatoñ ke dhāre
bāham the vajūd ke kināre
jaage vo lahū meñ silsile phir
tan man ke vahī the zā.iqe phir
jaarī thā vo raqs-e-ham-kinārī
niklī na.ī sub.h kī savārī
jab chāñd mirā nahā ke niklā
maiñ dil ko diyā banā ke niklā
dariyā vo samundaroñ se gahre
vo ḳhvāb gulāb aise chehre