Anwar Masood

side-effects

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
sar-dard meñ golī ye baḌī zūd-asar hai
par thoḌā sā nuqsān bhī ho saktā hai is se
ho saktī hai paidā koī tabḳhīr kī sūrat
dil tañg-o-pareshān bhī ho saktā hai is se
ho saktī hai kuchh saql-e-samā.at kī shikāyat
be-kār koī kaan bhī ho saktā hai is se
mumkin hai ḳharābī koī ho jaa.e jigar meñ
haañ aap ko yarqān bhī ho saktā hai is se
paḌ saktī hai kuchh jild-ḳharāshī kī zarūrat
ḳhārish kā kuchh imkān bhī ho saktā hai is se
ho saktī haiñ yādeñ bhī zarā sī mutā.assir
ma.amūlī sā nisyān bhī ho saktā hai is se
bīnā.ī ke haq meñ bhī ye golī nahīñ achchhī
diida koī hairān bhī ho saktā hai is se
ho saktā hai lāhaq koī pechīda maraz bhī
gurda koī vīrān bhī ho saktā hai is se
mumkin hai ki ho jaa.e nasha is se zarā sā
phir aap kā chālān bhī ho saktā hai is se
Top Urdushayar.com