ai ham-safaro kyuuñ na yahīñ shahr basā leñ
apne hī usuul apnī hī aqdār banā leñ
vo log jinhoñ ne mire hoñToñ ko siyā hai
sozan se mirī soch kā kāñTā bhī nikāleñ
is bazm se uTThegā na sho.ala koī hargiz
yaaro chalo qindīl se qindīl jalā leñ
har shahr meñ haiñ fasl-e-junūñ aane ke charche
shorīda-saro aao garebān silā leñ
yuuñ zehn pe hai ḳhauf ke sāyoñ kā tasallut
ham aa.ī huī baat ko hoñToñ meñ dabā leñ
kahne ko to bāzār meñ ham-jins garāñ haiñ
amalan hamīñ kauḌī pe ḳharīdār uThā leñ
bojh apnā bhī ham se to uThāyā nahīñ jaatā
aur aap musir aap kā bhī bojh uThā leñ
shāyad koī chiñgārī sulagtī huī mil jaa.e
aao to zarā raakh kā ye Dher khañgāleñ