har taraf ḳhāmosh galiyāñ zard-rū gūñge makīñ
suune suune bām-o-dar aur ujḌe ujḌe shah-nashīñ
mumTiyoñ par ek gahrī ḳhāmushī sāya-fagan
reñg kar chaltī havā kī bhī sadā aatī nahīñ
is sukūt-e-bekarāñ meñ ik tilismī nāznīñ
surḳh gahre surḳh lab aur chāñd sī piilī jabīñ
aañkh ke mub.ham ishāre se bulātī hai mujhe
ek pur-asrār ishrat kā ḳhazāna hai vo chashm-e-dil-nashīñ