merā dukh kuoñ ki tarā.iyoñ meñ utar gayā hai
maiñ use khīñch kar nikāl lūñgā
ham ne ek hī ghūñT se pyaas bujhā.ī
jo tum ne halq ke andar se chakhā
tum hamārī taraf ruḳh kar ke kitāb dekhte
aur taḳhta-e-siyāh kī taraf ruḳh kar ke
mujhe tumhāre kūlhoñ kī ma.asūmiyat maar Dālegī
gardan se nīche
tumhārī āñkhoñ meñ mere liye
ek ḳhair-maqadmī rāsta bichhā thā
tumhārī pusht par lipTā saañp
mere siine par reñg rahā hai
zindagī maiñ ne bhiik meñ vasūl ki
ab vo mere gullak meñ gal rahī hai
tum use
apnī zabān kī nok par utaar kar thuuk denā