Talib Chakwali

majburi

Talib Chakwali

bahut jī chāhtā hai har kisī se pyaar karne ko
magar aisī kahāñ qismat ki dil mujh ko Darātā hai
ka.ī be-rañg se ḳhāke ka.ī sad-rañg tasvīreñ
ḳhudā ma.alūm kin tārīkiyoñ se khīñch laatā hai
sunātā hai kabhī biitī huī bātoñ kī shahnā.ī
kabhī maazī ke album se mujhe photo dikhātā hai
jinheñ maiñ bhuul jaanā chāhtā huuñ vo hasīñ chehre
zabardastī dikhātā aur mujh par muskurātā hai
unheñ kyā jānte ho tum unheñ pahchānte ho tum
adā-e-tanz se har ek par uñglī uThātā hai
yahī to haiñ vo jin ke rāt-din tum giit gaate the
yahī to haiñ vo jin par pyaar ab bhī tum ko aatā hai
maiñ kahtā huuñ ḳhudā ke vāste ḳhāmosh ho jaao
satāne meñ kisī majbūr ko kyā lutf aatā hai
mirī majbūriyāñ kaafī nahīñ kyā muñh chiḌhāne ko
jo tū bhī muñh chiḌhātā aur merī jaan khātā hai
jise maiñ chāhtā huuñ pyaar kar saktā nahīñ us se
maiñ jis se pyaar kartā huuñ vo mujh se ruuTh jaatā hai
Top Urdushayar.com