hamārā ruj.hān yaqīnan harāmī-an tak jā chukā hai
hamāre saroñ par ḳhauf musallat ho rahā hai
kyā ham junūn kī had jāgte hue jazbāt nahīñ bak rahe
vāqa.ī hamārī bedārī
ab hameñ hamārā hī kal jhiñjhoḌ rahā hai
use kaise alag kareñ
ab hamārī taraf lapak rahe haiñ
us ke muñh se girtā huā safed jhaag