Ahmad Faraz

agar ye sab kuchh nahin

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
mile to ham aaj bhī haiñ lekin
na mere dil meñ vo tishnagī thī
ki tujh se mil kar kabhī na bichhḌūñ
na aaj tujh meñ vo zindagī thī
ki jism-o-jāñ meñ ubaal aa.e
na ḳhvāb-zāroñ meñ raushnī thī
na merī āñkheñ charāġh kī lau
na tujh meñ hī ḳhud-supurdagī thī
na baat karne kī koī ḳhvāhish
na chup hī meñ ḳhūb-sūratī thī
mujassamoñ kī tarah the donoñ
na dostī thī na dushmanī thī
mujhe to kuchh yuuñ lagā hai jaise
vo sā.ateñ bhī guzar ga.ī haiñ
ki jin ko ham lā-zavāl samjhe
vo ḳhvāhisheñ bhī to mar ga.ī haiñ
jo tere mere lahū kī hiddat
ko āḳhirash barf kar ga.ī haiñ
mohabbateñ shauq kī chaTānoñ
se ghāTiyoñ meñ utar ga.ī haiñ
vo qurbateñ vo judā.iyāñ sab
ġhubār ban kar bikhar ga.ī haiñ
agar ye sab kuchh nahīñ to batlā
vo chāhateñ ab kidhar ga.ī haiñ
Top Urdushayar.com