Ahmad Faraz

ai mere sare logo

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
ab mire dūsre baazū pe vo shamshīr hai jo
is se pahle bhī mirā nisf badan kaaT chukī
phir vahī aag dar aa.ī hai mirī galiyoñ meñ
phir mire shahr meñ bārūd kī bū phailī hai
mirī bastī se pare bhī mire dushman hoñge
par yahāñ kab koī aġhyār kā lashkar utrā
phir vahī ḳhauf kī dīvār tazabzub kī fazā
phir vahī aam huiiñ ahl-e-riyā kī bāteñ
is se pahle bhī to aisī hī ghaḌī aa.ī thī
sub.h-e-vahshat kī tarah shām-e-ġharībāñ kī tarah
phir kahāñ ahmarīñ hoñToñ pe duāoñ ke diye
phir kahāñ shabnamīñ chehroñ pe rifāqat kī ridā
dil-nashīñ āñkhoñ meñ furqat-zada kājal royā
shāḳh-e-bāzū ke liye zulf kā bādal royā
aaj aisā nahīñ aisā nahīñ hone denā
ai mire soḳhta-jāno mire piyāre logo
Top Urdushayar.com