Ahmad Faraz

to behtar hai yahi

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
ye tirī āñkhoñ kī be-zārī ye lahje kī thakan
kitne andeshoñ kī hāmil haiñ ye dil kī dhaḌkaneñ
aao us dukh ko pukāreñ jis kī shiddat ne hameñ
is qadar ik dūsre ke ġham se vābasta kiyā
vo jo is ġham se ziyāda jāñ-gusil qātil rahā
vo jo ik sail-e-balā-añgez thā apne liye
maiñ bhī nākām-e-vafā thā to bhī mahrūm-e-murād
ham ye samjhe the ki dard-e-mushtarak raas aa gayā
taptī do-pahroñ meñ āsūda hue baazū mire
terī zulfeñ is tarah bikhrīñ ghaTā.eñ ho ga.iiñ
zindagī kī sā.ateñ raushan thiiñ sham.oñ kī tarah
jis tarah se shaam guzre jugnuoñ ke shahr meñ
aao ye socheñ bhī qātil haiñ to behtar hai yahī
phir se ham apne purāne zahr ko amrit kaheñ
Top Urdushayar.com