Ahmad Faraz

kar gae kuch kahan

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
itnī muddat dil-e-āvāra kahāñ thā ki tujhe
apne hī ghar ke dar-o-bām bhulā baiThe haiñ
to samajhtā thā ki ye dar-badarī kā aalam
duur desoñ kī ināyat thā so ab ḳhatm huā
ab jo tū shahr-e-nigārāñ meñ qadam rakkhegā
har taraf khilte chale jā.eñge chehroñ ke gulāb
jab bhī gā.egī koī ġhairat-e-nāhīd ġhazal
sab ko aa.egā nazar sho.ala-e-āvāz meñ tū
maa.eñ rakkheñgī tire naam pe aulād kā naam
baap beToñ ke liye terī bayāzeñ leñge
log ulfat ke khilaune liye bachchoñ kī tarah
kal ke rūThe hue yāroñ ko manā lā.eñge
lekin aisā nahīñ aisā nahīñ ai dil ai dil
ye tirā des ye tere dar-o-dīvār nahīñ
sar kisī kā bhī dikhā.ī nahīñ detā hai yahāñ
jism hī jism haiñ dastāreñ hī dastāreñ haiñ
ab na tiflāñ ko ḳhabar hai kisī dīvāne kī
aur na āvāz ki ''o chaak garebāñ vāle''
Top Urdushayar.com