Makhmoor Jalandhari

magar-machh ke aansu

Makhmoor Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1979
sunte haiñ yaad musībat meñ ḳhudā aatā hai
aasrā ik yahī majbūr kī taqdīr meñ rah jaatā hai
''khol do band kalīsāoñ ke dar khol bhī do
maanā mānūs nahīñ haath duāoñ se duā.eñ māñgeñ
jī pe ban jaa.e to zillat bhī uThā lete haiñ
sunte haiñ baap musībat meñ gad.he ko bhī banā lete haiñ
''nāg hai apnā muāvin to koī baat nahīñ
kaam lenā hai hameñ naag ḳhazāne pe biThā lo apne
''sab ko baḳhsheñge masā.ib kī salāsil se najāt
jañg laḌte haiñ sadāqat kii, musāvāt kī elaan karo
''ahd-e-ālām bhī ma.adūm, ḳhudā bhī ma.adūm
koī ḳhadsha nahīñ phir se sitam-o-jaur ko arzāñ kar lo
tīrgī baḌhtī hai tūfān umaD aatā hai
badliyāñ chhā ke barastī haiñ falak phir se nikhar jaatā hai
Top Urdushayar.com