phir vahī baḌhte hue rukte hue qadmoñ kī chaap
phir vahī sahmī huī simTī huī sargoshiyāñ
zindagī tūfān thī sailāb thī bhauñchāl thī
vaqt phir bhī karvaToñ par karvaTeñ letā rahā
vo tabassum jis ko rote haiñ ka.ī ujḌe suhāg
ban rahā hai ik lachaktā ḳhaar apne paañv meñ
kitnī ummīdoñ ke madfan us ke hāthoñ ban chuke
kitne armānoñ ke lāshe us ne ḳhud kafnā.e haiñ
kulfatoñ se tañg aa kar be-ḳhudī kī khoj meñ
qāfile is raah par aate raheñ jaate raheñ