maiñ ne jo zulm kabhī tujh se ravā rakkhā thā
aaj usī zulm ke phande meñ giraftār huuñ maiñ
maiñ ne chāhā thā ki insān kī azmat ke liye
ek mazlūm javānī ko sahārā de duuñ
maiñ ne iḳhlās ke phūloñ se banā.e gajre
maiñ ne iḳhlās ke phūloñ se banā.e gajre
aaj maiñ soch rahā huuñ shab-e-tanhā.ī meñ
kis qadar talḳh javānī kī luTī yādeñ haiñ
ye mohabbat ye vafā.eñ ye muravvat ye ḳhulūs
in ko sarmā.e ne be-kār banā rakkhā hai