meñh barastā hai to dhartī kī nazar jhūmtī hai
phuul khilte haiñ to gulshan pe nikhār aatā hai
tum agar jashn-e-bahārāñ bhī kahoge is ko
maut ke ghaaT ye dhoka bhī utar jā.egā
ye gulistāñ ye gulistāñ meñ sisakte ġhunche
apne a.amāl ke parde meñ inheñ Dhāñp to lo
aaj insān kī azmat ne kiyā hai elaan
ḳhud-farebī se koī jī ko na bahalā.egā
lekin ai jashn-e-bahārāñ ke na.e muntazimo
ye tamāshā hameñ be-kār nazar aatā hai