Qateel Shifai

sanwli

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
sāñvle jism kī har qaus meñ lahrātā hai
muskurātī huī shāmoñ kā salonā jaadū
raqs kartī hai tire husn kī ra.anā.ī meñ
vādī-e-najd ke jhoñkoñ kī lajīlī ḳhushbū
ye tire dosh pe bal khā ke bikhartī zulfeñ
jaise ma.abad meñ sulagte hue sandal kā dhuāñ
jaise maġhmūm musavvir ke siyah-posh ḳhayāl
jaise mauhūm jazīroñ kī chhabelī pariyāñ
tū vo barsāt kī ghanghor ghaTā hai jis meñ
ek kaifiyat naġhmāt chhupī baiThī hai
dūdhiyā husn se uktā ke mirī nazroñ ne
jab bhī dekhā hai tire rañg kā bharpūr nikhār
guuñj uThī zehn meñ uḌte hue bhañvaroñ kī sadā
rach ga.ī ruuh meñ gaatī huī koyal kī pukār
kaun hai jis ne tirā zikr na chheḌā ho kabhī
ab to har bazm kā hai ek hī mauzū-e-suḳhan
koī detā hai laqab laila-e-be-mahmil kā
koī kahtā hai tujhe pyaar se kaalī nāgin
kaun sā lafz tire vāste ījād karūñ
sochtā huuñ tujhe kis naam se maiñ yaad karūñ
Top Urdushayar.com